QueroTom

BUY NOW AVAILABLE ON AMAZON TIME


 

MANZIL (Destination, Goal)

 Apni manzil pane ko bhtakta hai admi, Raste kai badlta hai admi umar nikal jati hai manzil tak phuchne me, Bhut thak jata hain admi, Mgar manzil mil jati To raste bnata kyo admi, Manzil milti nahi dhudne se, Manzil ke liye kyo marta hai admi, Esa kya hai manzil me ki apni umar nikal deta hai admi use dhudne me, Koi ranzis hai dosti hai ya Mohabbat hai jise pane ki khatir mar jata hai admi, Har ek raste ki apni

ek manzil hoti hai, Har ek sire ka sira hota hai, Sachai to yeh hai kai bar to raste me hi mar jata hai admi manzil nahi milti or kai bar manzil khud akar kehti hai chal tuje rasta dikhau khda tu kyu hai, Har manzil ki bhi apni ek manzil hoti hai, Ye manzile kabi khtam nahi hoti, Raste bnane padte hai har subah ek jasi nahi hoti, Mgar kaun smjay admi ko, Hamara to shauk hai chalna manzile to apne ap mil jati hai.

 

WAQT-TIME-SAMAY

Jab se waqt ne chalna shikha h

kabi rukna nahi shikha,Age badta

jata h kabi mudna nahi shikha,Jab

pheli bar chla tha tab bhut dhire

chla tha,Mgar jab chal gya to kabi

jhukna nahi shikha,Jhuk jati h har

chiz iske age,Tut k bikhar jati h kyonki

yeh waqt h bhut shakt h,Har chiz ko chlata h,

Duniya ko ghumata h yeh,Yeh vo takat h sabka ghmand mitata h,Yeh waqt ki khani h bhut suni hogi apne mgar ab waqt a gya h waqt ko intjar h apne waris ka jo aye aur use ghumay aur duniya ko chamatkar dhikay,Is waqt ki god m kabi duniya ne janam liya tha,Bhut khilaya h aur shikhaya h

duniya ko is waqt ne,Mgar waqt jab peda hua tha to bhur akela tha,Mgar ye waqt h bhut shakt h,Is waqt ko aj tak koi rok nahi paya,Iska jnam sthan koi koz nahi

paya,Khate h hum sab waqt ka khel h,Is khel ko aj tak koi jeet nahi paya,Waqt ghumta rehta h,Use talash h uski jo haray use, Ghumay use, Use yeh ehshas dilaye

ki uska ki bhi ek waqt hai jo bhut shakt hai.

 

 

CHIRAAG

EK DUNIYA HAI ROSHNI KI, CHAMKTI HAI CHAMKATI HAI, YEH DUNIYA HAI CHIRAAGO KI, YEH JO AAG HAI CHIRAAG KA RAAJ HAI, YEH DUAA HAI JO ROSHAN KARTI HAI CHIRAAG LAAKHO SITAARE SHAMIL HAI DUAA ME, EK DUAA THI JISNE ROSHAN KIYA VO CHIRAAG LAAKHO SITAARE

SAATH THE JAB YE DIN OR RAAT AYE THE,YEH EK CHIRAAG KI KAHANI HAI EK CHIRAAG HI KAFI HAI DUNIYA ROSHAN KARNE KO,DIN OR RAAT SAATH LEKE AYA HAI LEKE JAYGA MNAA LO JASHAN INKI CHAAO ME,CHIRAAGO KI APNI DUNIYA HOTI HAI,CHIRAAGO KI DUNIYA ME SIRF CHIRAAG HI JAATE HAI, HAI BHUT KUCH BATAANE KO YEH CHIRAAGO KI BAATE HAI REHNE DO CHIRAAGO ME.

 

 

 

Colander-Cullender-Secret Gate

 

Yeh Dwar Ka Ek Chinh Hai, Yeh Ek Darwaja Hai, Isme Parvesh Varjit Hai, Bina Anumati, Bhramhand Ka Rehsay Hai, Bhotic Vigyan Ka Raj Hai, Te Suno Iski Baat, Shaktiyo Ka Strotra Hai, Yahi Roshni Ka Partik Hai, Yahi Sabhi Rehsayo Ka Raj Hai, Yahi Se Vaani Nikalti Hai, Ek Chahlni Hai Dikhne Me...

TE HU, TAA NAHI

A HU, AA NAHI

PAD SAKTE HO

PAR PADA NAHI SAKTE

DEKH SAKTE HO

PAR DIKHA NAHI SAKTE

 

Ragistan king (Glove)(Desert):

 

Yeh jo behti hai,Par jameen par rehti hai,Yeh rait hai jo ragistan banati hai,Sadiyo purana raj hai,Yeh ragistan kuch khas hai,Kahani ragistan ki usi ki zabani,Ek rait ka raja hai aur ek kala dastana hai jo uski shaan badata hai,Yeh ek sacahi hai,ragistan ki parchai hai,Ek rait ka parda hai jo upper se niche samaya hai,Dastane ne upper niche banaye hai,Ek Qyamat ki rani hai jo iski diwani hai,Yeh jo rait ka parda hai,Iski bhut charcha hai,Yeh ek jaadu hai,Dastane ki bhi baju hai,Nissan bante nahi rait pe mit jaate hai,Isme jaane wale Akshar bhatak jaate hai, Rait pe chalne ko man tarshta hai,Samunder jaane ke bad hi to marusthal banta hai,Alam Yeh hai aaj ragistan bhi rait ko tarshta hai...

 

ROSHNI-LIGHT

 

Jab se dekha hai,tumhe paya hai,roshni hu me,har chiz par mera saya hai,hwa se tej chalti hu,mujko na koi rok paya,ye suraj aur chand ki to sirf baaten hai,mere bina to sab aadhe hai,ek gehra raaj hai mujme smaya baat tab ki hai,jab andhera tha charo aur smaya,Is jaah se aage,jaah aur bhi hai,sittaro se pucho,chand aur bhi hai,Taalash thi roshni ki,jab andhere se andhera takraya tha tab ek roj roshni ne jnam paya tha,har chiz par hai aadhikar mera,mere bina na koi kuch kar pata.

Roshni hoti nahi chirrago me,Diye jalte nahi baarsato me,Raasto me akshar andhera raj karta hai,mgar dua hai hmari jo chirrago me parkash karta hai,Har jagah chirrag jalaye nahi jate,Jaise andhere ko har jagah mitaya nahi jata.

 

 

DILLAGI

 

DILLAGI DIL KI LAGI BAN GAI: PYAR EK VAJAH THI VO TUM BAN GAI, DIL KI GEHRAI ME TUM AB UTAR GAI, LAFHJO KO JOD KAR PYARI SI EK SHKAL BAN GAI, MASTI ME DUBE TUM EK JAAM KI NAZAR BAN GAI, CHERE PE AJAB SI EK CHAMAK BAN GAI, TUM MERI SASO ME YU BAS GAI, MERE SAFAR KI TUM HUMSAFAR BAN GAI, TUM AB JEENE KI EK VAJAH BAN GAI, LIKHNE KI VO AADAT BAN GAI, AAB TUM MERI KALAM BAN GAI...

DIL ME UTAR GAI, TUM EK TALWAR HO, SAATH RAKHTE HAI HUM TUMHE HUMESHA KYO KI TUM HI TO MOHABBAT KA AAUJAR HO...

 

TAMMANA

 EK AJAB SI KHWAISH HAI,DIL ME SMAI HAI,VO TAMMANAO KI RANI HAI,REHTI HAI GHAATIO SE PARE,KBHI KBHI AATI HAI GHAATIO ME SEER KARNE,ISHQ KA JAADU KAR JATI HAI,MAJBURI ME JKAD JATI HAI,FIR VO MJAA LETI HAI,APNE JAADU KA, TAMMANA KE KHEL NIRALE KHOJTI REHTI HAI APNE TAARE KO,JO KABHI USKE PAAS THA,EK ROJ USE SAPNE ME DEKHA,USKE MEHAL ME,SAPNO KI BHI EK SHRAHAD HOTI HAI,USKE DO SHIPHAI AYE THE DEKHA MENE UNHE TEHLTE,UDHAR KA DHUA BHI BHUT NIRALA HAI,ABHI MAKSAD MIL GYA HAI,KAAM ABHI HUA NAHI FIR EK RAAH BNANI HAI,MANJIL TEYAAR HAI,MGAR SOCHTA HU KIS PE JAU,BHUT DHUVIDHA HAI,FIR SOCHTA HU PHLE UDHGHATAN KARVA LU...

 


STAR: STAR

Hai yeh sabse alag,rehta hai dur gagan me,yeh bhut pyara hai,yeh ek tara hai,rehta hai sabse upar jo iske pas aye vo isme kho jay,planet bnate hai yeh isme kuch khas hai yeh planet ka raj hai,taro ki alag hai duniya sabko chlaate hai, Yeh Taro ka khel hai,Tare hi khelte hai...

 

KHOZ

Humne jo paya hai vo tum pa na paoyge,dil ki har khidki tum khol na paoyge,in duriyo ko tum chu na paoyge,rehti hai pas hamare,chahato ki duniya me tum kuch chah na paoyge,kasi yeh kashmkash hai,tum seh na paoyge,ek roj ajab si bat hui,chahat thi,hasina bi thi,duriya bi sath thi,fir bi hume na jane kis manjil ki talash thi,har chiz ka is jha me akaar hota hai,hume shayad kisi akaar ki talash thi,samundr samne tha fir bi hume pani ki talash thi.

 

 

KHWABOO ME KOI ATA HAI

Use pane ko dil karta hai,khwaboo me jo ata hai,apni jhalak dikhlakar aakh khulne par chla jata hai,dil tadpta hai pane ko use bechen ho jata hai,Roz khwaboo m uska didar hota hai uska u sharma ke kuch mujse khna bhut Mza deta h,mgar vo khwaboo m hi ate h,dil me guitar bajti h me usse milta hu aur hum kho jate h,ye story chalti rhti h iske age m bad nhi pata,sochta hu use zindgi m lau mgr fir sochta hu phle khwab to pura kar lu,zindgi to ek h,khwabo ko to roz ana hai.

 

EK SHAM

Dil uske nam hua,esa ek sham hua,chand bhi tha chandini bhi thi,muje us se pyar hua,esa ek sham hua,bijli chamak rahi thi,sitare muskara rahe the,do dilo m ikrar hua,esa ek sham hua,badal chal rhe the,hwa bhi mojod thi,do sapno ka milan hua,esha ek sham hua,aag ka dariya tha or kud ke aye the,ye sapna sach hua,esha ek sham hua,Ishq ki raat thi,Mohbaat sath thi,pyar se pyar hua,esa ek sham hua,mehfil saji thi,sangeet bhi tha,halki barsat thi,vo mere pas thi,vo meri zindagi m ayi,esa pheli bar hua,Jane kya tha us din,sab kuch us sham hua.

 

TRUTH

RIGHT IS ALWAYS RIGHT FROM RIGHT SIDE AND IF RIGHT GOES TO LEFT SIDE YOU WILL BE SURPRISED IT IS ALSO RIGHT FROM LEFT SIDE...

If you say ATOM is the smallest particle then i say UNIVERSE is a ATOM and u still don't know about UNIVERSE it is very funny.

MAUSAM

 

Har Dil ko lubhata hai mausam,sab ko khush rakhta hai mausam,ye mausam ki khani hai dil me umang bharta hai mausam.sabko pasand ek rang hota hai,har rang ka ek mausam hota hai,har mausam ki ek duniya hai,mausam ko intzar rehta hai apne sehjade ka kab vo aye or unhe dekhe,mausam aisa jo koi dekhe to kehta hai yar aisa mausam nahi dekha, kya nazara hai har chiz dil ko chuti hai dekhne wala heyran hai kehta hai yar kya mausam hai aisa mausam nahi dekha,Insaan ko chahat rehti hai hamesha mausam dekhne ki,mausam itne ki ginana muskil,mausam ka ek saudaagar hai,saudaagar jo fizaao ko maud de,bhut saadiyo bad lauta hai saudaagar apne safar se,uske ek hukam se mausam bhi badal jate hai,saudaagar ki bat nirali vo sauda karta hai.

VO JAMMANA YAAD ATA HAI, VO MAUSAM YAAD ATA HAI, ROOH BAN GAYA HU MUJE INSAAN YAAD ATA HAI ...

 

 

 

 

.